Biography Of Sundar Pichai In Hindi With Fact.

Hello, 
 And namaskar dosto aapka swagat hain aapke apne blog TSJ pe, aaj Main aapko bhartiya mul ke Google ke C.E.O Sundar Pichai ke bare me btlaunga.
 Friends muje lgta hain sundar ke bare me ab sabhi jante hain. Lekin Jo nahi jante hain unse main kah doon sundar un insano main se ek hain jinhone garibi me bhi apne mehant ke bal par duniya main apna ek alag pehchan bnaya. Aur word ke Top technology company Google ke C.E.O ban Gaye. Aur duniyan aaj unke jaisa bnna chahti hain.
 Friends sundar ke mukam ke bare me sabhi KO pta hain lekin unke kathinaiyon aur unke bare me kisko pta hai. To friends chaliye shuru karte hain.

  Sundar Pichai ka real name Pichai Sundarrajan hain aur unka jnam 12 July 1972 KO Madurai Tamilnadu(India) me hua. Raghunath Pichai aur Maa ka Naam Lakhshmi Pichai tha. Inke pita British company (G.E.C) me senior electrical engineer the aur inki maa stenographer thi. Wo apne family ke sath 2 kamro wale room me rehte the jhan unke study karne ke liye bhi alag room nahi tha aur WO apne chhote bhai ke sath drawing room ke pharsh pe sote the.
Sundar Pichai Apne Mata Pita Ke Sath. 
Inke pita ka naam
  Friends unhone ne Ashok Nagar ke Jawahar School Se 10th tak ki padhai. Aur phir IIT Chennai me located Vani school se +2 tak padhai ki. Aur phir unhone IIT Khargpur se 1993 me.Metallurgy engineering me B.Tech kiya. IIT Kharagpur me unke princpal ne unhe Stanford University se P.h.d. karne ka slah diya par sundar ne M.S aur M.B.A kiya. Aur unhone Stanford university se Materials Science and engineering me M.S kiya. Aur university of Pennsylvania ke Wharton school se M.B.A kiya
  Google se pehle wo Mc Kinsey & Company me kaam karte the .
  Sundar Pichai ne Google 2004 me join kiya tha .unhone shuru main Google search tool bar pe kaam kiya. Aaj isi tool bar ki wajah se search ho pata hain. Unhone Google ke Products Google Gear aur Google Pack pe bhi kaam kiya.  Google tool bar ke success hone ke baad unhone google KO apna browser bnane ka idea diya lekin us time ke Google ke C.E.O Eric Schmidt ne is project KO mehanga btlake naa kah diya.

 Lekin sundar ne haar nahi Mani aur Google Ke co-Founder Surgey brien aur Larry page KO mna liya aur google ne sundar ke sath milkar 2008 me apna khud ka browser chrome launch kar diya. Aur chrome aaj pure world me sabse jyada use hota hain. Usi year google ne unhe Vice-president of product development me promotion kiya. Is position pe aate hi unhone had se jyada mehnat kiya aur 2012 me chrome aur apps ke senior vice president ban Gaye.
 Android ke developer Andy Rubin ne 2013 me kisi dusre project ke karan android ke project KO chhod diya. Aur 2014 me Larry page aur surgey Brien ne inhe Android ka incharge aur phir head bna diya .
Aur Finally google ne unhe 10 August 2015 KO C.E.O bna diya. Friends yeh thi sundar ki google journey. 

  Friends, ab main aapko sundar pichai ke wife, bachchey  ke bare ne btlata hoon. 
Sundar Pichai Apni Patni Anjali Pichai Ke Sath
Friends Sundar Pichai ke patni ka naam Anjali Pichai hain Jo sundar ke sath hi IIT kharagpur me padhti thi Aur inke 2 bachey hain. Ek ladka aur dusra ladki. Jinke naam kavya aur kiran hain.

Sundar Pichai Ke Bare Me Kuchh Facts. 

  1. Sundar Pichai aaj bhi IIT Khargapur ke student se Skype Par baat karte hain. 
  2. Unhone Brooklyn, NewYork me $6.8 million ne apna ghar kharida hai.
  3. Sundar pichai bachpan se hi multi talented the aur
    WO cricket khelne me mahir aur apne school ke cricket team ke captain the. 
  4. Twitter ne sundar ko 2011 me job ke liye offer kiya tha par unki wife ne Google me hi job karne ja slah diya aur phir google ne unhe 305 crore dekar naukri chhorne se ROK liya. 
  5. Engineering karne ke baad unko Stanford university se scholarship mili, lekin unke paas America jane ke tickets ke paise nahi the aur unko pita KO karj Lena pada tha. 
  6. Americy media sundar ko Larry page ka wright hand manti hain. 
  7. Schooly padhai ke dauran WO kabhi 4th rank se upar nahi aaye aur unka geography aur history me sabse kam marks aur WO har saal science ke topper hua karte the. 
  8. Sundar jab chennai me rahte the to unke paas ek blue color ka vebrenta scooter tha, aur us scooter par jab puri family ride pe jati ti unke pita driver ki seet pe wo aage aur unki maa aur chhota bhai peeche betha karte the. 
  9. America Jane ke baad sundar ne apne mata-pita ke liye chennai me ek ghar kharida lekin unke parents ne usme rehne se inkaar kar diya. Aur WO aaj bhi wahi purane ghar main rehte hain. 
  10. Sundar pichai IIT Khargpur me ragging ka shikar ho chuke hain aur raggers ke liye sabse favorite sundi hi the kyonki WO unke kahne par table par chadhkar dance karte the. 
  11. Padhai ke liye America Jane ke baad unki patni india me hi rehti aur sundar ke paas itne paise nahi vote the ki WO anjali se call karke baat kar sake. 
    To friends aaj Maine aapko Google ke C.E.O sundar pichai ke bare main btlaya. 
      Frienda yadi yah post achhi lagi to share jarur kare .
      Friends aaj ke liye itna hi milte hain TSJ ke ek naye post main tab tak ke liye take care 

      Bye bye bye 
    Next
    This is the current newest page
    Previous
    Next Post »
    Thanks for your comment