How To Find Android Mobile Ya Android Mobile Chori Hone Ke Baad kya kare???

Hello,Friends Aapka Swagat Hai Aapke Apne Blog TSJ me main aaj aapko btaunga ki Android Mobile ko track kaise kare ya Mobile Chori Hone Ke Baad Kya Kare.Dosto jyadatar samay ham Mobile use karte hai aur mobile use karte huve ham Mobile ko kahin par rakh dete hai yadi wo ghar main ho to mil jata hai par yadi ham bahar me kahin bhul jate he to mobile phir pana namumkin ho jata hai yeh soch kar maine un logo ke liye post likha jo Mobile ko rakh kar kahin bhul jate hai.To chaliye aaj ka post shuru karte hai.
Image Source :- shuterstock


Jo Mobile aapka gum ho gya hai usme pehle se 3cheeje honi chahiye.
1.Android Device Manager on hona chahiye.                         
  Note:- Yadi Aapka Mobile chori nahin hua hain to aap Android Device Manager on kar le Android Device Manager on karne ke liye sabse pehle setting me jaye-uske baad Security-phir Device Administrators me jakar Android Device Manager On kar de.
2.Location on hona chahiye aur gmail account registered hona chahiye.
3. Mobile data aur Wi-Fi on hona chahiye aur Mobile On ho. Yadi upar diye gaye sabhi cheej aapke chori ho gaye mobile me tha to aap Mobile ko recover kar sakte hai. Iske liye aapko apne PC ya Mobile se Google Me Jana Hoga  Aur Sign In Karna hoga
  Note:-aap usi gmail account se Log In Karna hai jo aapke chori hogaye Mobile me registered tha. Aur iske baad Google Me search kare  Find My Phone Isme Aapko 3option milega
  1. Ring:-Ispe click karne ke baad aapka phone 5 minute tak Ring karega.
  2. Lock:-Ispe click karne ke baad aapka phone lock ho jayega aur aap isme woh password dal sakte jo aap chahenge, isme aap message bhi daal sakte hain.jaise please return my phone isme aap apna no. bhi daal sakte hain jisse wo aadmi aap se contact kar sakta hain.
  3. Erase:-Isse aap apne mobile ka data delete kar sakte hain yadi aapko aap ka mobile na mile to apne mobile ka data delete kar dijiye.
Aapko isme mobile ka location bhi show hota hai.Main suggest karunga ki jaab aap ka phone chori ho jaye to sabse pehle phone ko lock  kar dijiye. 
  Note:-Yadi Aap Mobile Se Location track karne ki koshish kar rahe to Puffin Browser ya chrome Choose Kare.Aur Ye Sare Trick Tabhi Work Hoga Jab Aapke Mobile Me Internet Connection On Ho. Friends yah Post kaisi lagi comment jarur kare aur Yadi post pasand aaye to like aur share jarur kare yadi koi Help chahiye to comment jarur kare.

Bye bye
Previous
This is the oldest page
Thanks for your comment